Saturday, 3 September 2011

Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay

Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay
Tehreer mein tum thay,meray wajdaan mein tum thay

Ahat thi k betaab kiye deti thi mujh ko

Ehsaas yeh kehta tha k dalaan mein tum thay

Go ajnabi dastak thi magar main ne dar-e-jaah

Yeh soch k khola tha k imkaan mein tum thay

Main kia, sitaron ne bhi aankh na jhapki thi

kal shab shab-e-mehtaab thi aur dalaan mein tum thay

Kia dekhtay auron ki taraf hum se giraftaar

Har ehad mein tum thay / har paimaan mein tum thay

Har chashm-e-gul-e-tarr thi tehreer zada

Kia waqt-e-sehar mun-e-gulistan mein tum thay.

No comments:

Post a Comment