Saturday, 3 September 2011

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai

Ke Zindagi Teri Zulfo Ke Narm Chao Mein Guzarne Pati
To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi

Ye Ranj-O-Ghum Ki Syaahi Jo Dil Pe Chai Hai
Tere Nazar Ki Shuwao.N Mein Kho Bhi Sakti Thi

Magar Ye Ho Na Saka
Magar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam Hai

K Tu Nahi Tera Ghum Teri Justaju Bhi Nahi
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise

Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarzu Bhi Nahi
Na Koi Raah Na Manzil Na Roshni Ka Suraagh

Bhatak Rahi Hai Andhero Mein Zindagi Meri
Inhi Andheron Mein Reh Jaunga Kabhi Kho Kar

Main Jaanta Hu Meri Ham Nafas Magar Yuhi
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai

No comments:

Post a Comment