Saturday, 3 September 2011

نہ ملا کر اداس لوگوں سے حسن تیرا بکھر نہ جائے کہیں

نہ ملا کر اداس لوگوں سے
حسن تیرا بکھر نہ جائے کہیں

Apne mukaddar ka to mil hi jayega, AYE KHUDA, wo cheez adaa kar jo kismat me na ho

Apne mukaddar ka to mil hi jayega, AYE KHUDA, 
wo cheez adaa kar jo kismat me na ho

Judai se mara wo bhi nhi min bhi nhi

Judai se mara wo bhi nhi min bhi nhi.
Dono insan hen khuda wo bhi nhi min bhi nhi.

Wo mujhe or min use ilzam dete hen magar.

Apne andar jhankta wo bhi nhi min bhi nhi.

Zamane ne kar diya dono min peda ikhtlaaf.

Warna fitrat ka bura wo bhi nhi min bhi nhi.

Mukhtalif simton min dono ka safar jari raha.

Aik lamhe ko ruka wo bhi nhi min bhi.

Chahte dono bht hen aik dusre ko magar.

Ye haqiqat manta wo bhi nhi min bhi nhi.

idhar zindagi ka janaza uthay ga

idhar zindagi ka janaza uthay ga
udhar zindagi un kee dulhan banay gee

qayamat se pehle qayamat hae yaaro

mere saamne meri duniya lutay gee

jawani pe meri sitam dhanay walo

zara soch lo kya kahay ga zamana

idhar mere armaan kafan pehn leyn ge

udhar un ke haathon pe mehndi lagay gi

wo parde ke peechay mein parday ke aagay

na woh aayein aagay na mein jaaon peechay

woh aage barhein ge to kuch bhee na ho ga

mein pechey hatoon ga toh duniya hasay gee

azal se mohabbat kee dushman hae duniya

kaheen do dilon ko milnay na de gi

idhar mere dil par khanjar chalay ga

udhar un ke mathay pe bindiya sajay gi

abhee un ke hansnay ke din haen woh hans leyn

abhee mere ronay ke din haen mein ro loon

magar aik din un ko rona paray ga

ke jis din bhee meri mayyat uthay gi

ghanay darakht k neechay sula k chor gya

ghanay darakht k neechay sula k chor gya
ajeeb shuks tha sapne dikha k chor gya

ye ujra ghar tau usi aik kee nishani hae
jo apnay naam kee takhtee laga k chor gya

hum to tinkay chun rahay thay aashyanay k lyay
aap se kis ne kaha bijli giranay k lyay

haath thak jaayein ge kyun pees rahay ho mehndi
khoon haazir hae hatheli pe laganay ke lyay

ishq ko dard-e-sar kehne walo suno
kuch bhee ho hum ne ye dard-e-sar le lya

wo nigahon se bach kar kahan jayein ge
ab to un ke mohallay mein ghar le lya

ayay ban than ke shehr-e-khamoshaan mein wo
qabr dekhee jo meri to kehne lagay

aray aaj itni to is kee tarakki hui
aik beghar ne acha sa ghar le lya

Tumse Mil Kar Tumhen Bhulna Mushkil Hai Asaan Nahi

Tumse Mil Kar Tumhen Bhulna Mushkil Hai Asaan Nahi
Deewane Dil Ko Samjhana, Mushkil Hai Asaan Nahi

Har Rasta,Har Manzar Ab To,Koi Fasana Lagta Hai

Jab Se Tum Aaye Ho,Sara Sheher Suhana Lagta Hai

Jaate Lumho Ka Ruk Jana Mushkil Hai, Asaan Nahi


Jhukti Aankhein, Rukti Sansein, Dard Adhura Kehti Hain

Dil Ki Puri Batein Aksar Dil Ke ander Rehti Hain

Dil Ki Baat, Zubaan Par Lana Mushkil Hai, Asaan Nahi

Jo Hum Chaahein Wo Tum Chaaho, Phir Bhi Kyun Ye Doori Hai?

Mil Kar Bhi Hum Mil Nahi Paate, Ye Kaisi Majboori Hai?

Rasmoo Ki Deewar Giraana Mushkil Hai, Asaan Nahi…

Jo kabhi teri Nazar se GuZar jaya kerte hain

Jo kabhi teri Nazar se GuZar jaya kerte hain
woh sitare aksar tOot ke Bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se Mahobbaton ka Dawa to nahi kerte
Haan magar Wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke Hijir bhi ye Guzare ga to kabhi
Mausam ke isi Aas main Guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki Ehmiat se Waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se Sawar jaya kerte hain

MashRoot to nahi Barishoon se Selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne Dukhoon ki Numaish nahi kerte
Bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain

Woh AansOo jo palkOon ki zeenat nahi bante
woh Chup chap se Dil main Utar Jaya keRte hain