Saturday 3 September 2011

idhar zindagi ka janaza uthay ga

idhar zindagi ka janaza uthay ga
udhar zindagi un kee dulhan banay gee

qayamat se pehle qayamat hae yaaro

mere saamne meri duniya lutay gee

jawani pe meri sitam dhanay walo

zara soch lo kya kahay ga zamana

idhar mere armaan kafan pehn leyn ge

udhar un ke haathon pe mehndi lagay gi

wo parde ke peechay mein parday ke aagay

na woh aayein aagay na mein jaaon peechay

woh aage barhein ge to kuch bhee na ho ga

mein pechey hatoon ga toh duniya hasay gee

azal se mohabbat kee dushman hae duniya

kaheen do dilon ko milnay na de gi

idhar mere dil par khanjar chalay ga

udhar un ke mathay pe bindiya sajay gi

abhee un ke hansnay ke din haen woh hans leyn

abhee mere ronay ke din haen mein ro loon

magar aik din un ko rona paray ga

ke jis din bhee meri mayyat uthay gi

No comments:

Post a Comment