Saturday 3 September 2011

ghanay darakht k neechay sula k chor gya

ghanay darakht k neechay sula k chor gya
ajeeb shuks tha sapne dikha k chor gya

ye ujra ghar tau usi aik kee nishani hae
jo apnay naam kee takhtee laga k chor gya

hum to tinkay chun rahay thay aashyanay k lyay
aap se kis ne kaha bijli giranay k lyay

haath thak jaayein ge kyun pees rahay ho mehndi
khoon haazir hae hatheli pe laganay ke lyay

ishq ko dard-e-sar kehne walo suno
kuch bhee ho hum ne ye dard-e-sar le lya

wo nigahon se bach kar kahan jayein ge
ab to un ke mohallay mein ghar le lya

ayay ban than ke shehr-e-khamoshaan mein wo
qabr dekhee jo meri to kehne lagay

aray aaj itni to is kee tarakki hui
aik beghar ne acha sa ghar le lya

No comments:

Post a Comment