Baarish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye
Mausam Ke Haath Bhig Ke Saffaak Ho Gaye
Baadal Ko Kya Khabar Ki Baarish Ki Chaah Main
Kitne Buland-O-Balaa Shajar Khaak Ho Gaye
Jugnu Ko Din Ke Waqt Pakadne Ki Zid Karen
Bachche Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye
Lahra Rahi Hai Barf Ki Chaadar Hata Ke Ghaas
Suraj Ki Shah Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye
Suraj Dimaag Log Bhi Iblaag-E-Fikr Main
Zulf-E-Shab-E-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye
Jab Bhi Garib-E-Shahar Se Kuch Guftagu Hui
Lahje Hawa-E-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye
Saahil Pe Jitne Aab Guzidaa The Sab Ke Sab
Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye