Monday 8 August 2011

dhoop hai, rang hai, ya sada hai

raat ki band muthi main kiya hai.
kion burra main kahoon doosaroon ko.
wo to mujhe ko bi acha lagta hai .
wo gum sum sa ik shakhas hai naa.
Aas ke karab main mubtala hai .
din chahrre dhoop main sone wala.
ho na ho raat bhar jagta hai .
iss kadar khush hoon main us se milkar.
aaj rone ko dil chahta hai..
besabab us se main larr raha hoon .
yeh muhabat nahin to or kiya hai ?

No comments:

Post a Comment