Wednesday, 31 August 2011

Apni Rusvaai Tere Naam Ka Charcha Dekhun

Apni Rusvaai Tere Naam Ka Charcha Dekhun
Ek Zara Sher Kahun Aur Main Kya Kya Dekhun
Neend Aa Jaaye To Kya Mehfilen Barpa Dekhun
Aankh Khul Jaaye To Tanhai Ka Sahra Dekhun
Shaam Bhi Ho Gai Dhundhla Gai Aankhen Bhi Meri
Bhulne Waale Main Kab Tak Tera Rasta Dekhun
Sab Ziden Us Ki Main Puri Karun Har Baat Sunu
Ek Bachche Ki Tarah Se Use Hansta Dekhun
Mujh Pe Chha Jaye Wo Barsaat Ki Khushbu Ki Tarah
Ang Ang Apna Usi Rut Main Mahakta Dekhun
Tu Meri Tarah Se Yakta Hai Magar Mere Habib
Ji Main Aata Hai Koi Aur Bhi Tujh Sa Dekhun
Main Ne Jis Lamhe Ko Pooja Hai Use Bas Ek Baar
Khwaab Ban Kar Teri Aankhon Main Utarta Dekhun
Tu Mera Kuch Nahin Lagta Hai Magar Jaan-E-Hayaat
Jaane Kyon Tere Liye Dil Ko Dhadakta Dekhun

No comments:

Post a Comment