Saturday 3 September 2011

نہ ملا کر اداس لوگوں سے حسن تیرا بکھر نہ جائے کہیں

نہ ملا کر اداس لوگوں سے
حسن تیرا بکھر نہ جائے کہیں

Apne mukaddar ka to mil hi jayega, AYE KHUDA, wo cheez adaa kar jo kismat me na ho

Apne mukaddar ka to mil hi jayega, AYE KHUDA, 
wo cheez adaa kar jo kismat me na ho

Judai se mara wo bhi nhi min bhi nhi

Judai se mara wo bhi nhi min bhi nhi.
Dono insan hen khuda wo bhi nhi min bhi nhi.

Wo mujhe or min use ilzam dete hen magar.

Apne andar jhankta wo bhi nhi min bhi nhi.

Zamane ne kar diya dono min peda ikhtlaaf.

Warna fitrat ka bura wo bhi nhi min bhi nhi.

Mukhtalif simton min dono ka safar jari raha.

Aik lamhe ko ruka wo bhi nhi min bhi.

Chahte dono bht hen aik dusre ko magar.

Ye haqiqat manta wo bhi nhi min bhi nhi.

idhar zindagi ka janaza uthay ga

idhar zindagi ka janaza uthay ga
udhar zindagi un kee dulhan banay gee

qayamat se pehle qayamat hae yaaro

mere saamne meri duniya lutay gee

jawani pe meri sitam dhanay walo

zara soch lo kya kahay ga zamana

idhar mere armaan kafan pehn leyn ge

udhar un ke haathon pe mehndi lagay gi

wo parde ke peechay mein parday ke aagay

na woh aayein aagay na mein jaaon peechay

woh aage barhein ge to kuch bhee na ho ga

mein pechey hatoon ga toh duniya hasay gee

azal se mohabbat kee dushman hae duniya

kaheen do dilon ko milnay na de gi

idhar mere dil par khanjar chalay ga

udhar un ke mathay pe bindiya sajay gi

abhee un ke hansnay ke din haen woh hans leyn

abhee mere ronay ke din haen mein ro loon

magar aik din un ko rona paray ga

ke jis din bhee meri mayyat uthay gi

ghanay darakht k neechay sula k chor gya

ghanay darakht k neechay sula k chor gya
ajeeb shuks tha sapne dikha k chor gya

ye ujra ghar tau usi aik kee nishani hae
jo apnay naam kee takhtee laga k chor gya

hum to tinkay chun rahay thay aashyanay k lyay
aap se kis ne kaha bijli giranay k lyay

haath thak jaayein ge kyun pees rahay ho mehndi
khoon haazir hae hatheli pe laganay ke lyay

ishq ko dard-e-sar kehne walo suno
kuch bhee ho hum ne ye dard-e-sar le lya

wo nigahon se bach kar kahan jayein ge
ab to un ke mohallay mein ghar le lya

ayay ban than ke shehr-e-khamoshaan mein wo
qabr dekhee jo meri to kehne lagay

aray aaj itni to is kee tarakki hui
aik beghar ne acha sa ghar le lya

Tumse Mil Kar Tumhen Bhulna Mushkil Hai Asaan Nahi

Tumse Mil Kar Tumhen Bhulna Mushkil Hai Asaan Nahi
Deewane Dil Ko Samjhana, Mushkil Hai Asaan Nahi

Har Rasta,Har Manzar Ab To,Koi Fasana Lagta Hai

Jab Se Tum Aaye Ho,Sara Sheher Suhana Lagta Hai

Jaate Lumho Ka Ruk Jana Mushkil Hai, Asaan Nahi


Jhukti Aankhein, Rukti Sansein, Dard Adhura Kehti Hain

Dil Ki Puri Batein Aksar Dil Ke ander Rehti Hain

Dil Ki Baat, Zubaan Par Lana Mushkil Hai, Asaan Nahi

Jo Hum Chaahein Wo Tum Chaaho, Phir Bhi Kyun Ye Doori Hai?

Mil Kar Bhi Hum Mil Nahi Paate, Ye Kaisi Majboori Hai?

Rasmoo Ki Deewar Giraana Mushkil Hai, Asaan Nahi…

Jo kabhi teri Nazar se GuZar jaya kerte hain

Jo kabhi teri Nazar se GuZar jaya kerte hain
woh sitare aksar tOot ke Bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se Mahobbaton ka Dawa to nahi kerte
Haan magar Wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke Hijir bhi ye Guzare ga to kabhi
Mausam ke isi Aas main Guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki Ehmiat se Waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se Sawar jaya kerte hain

MashRoot to nahi Barishoon se Selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne Dukhoon ki Numaish nahi kerte
Bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain

Woh AansOo jo palkOon ki zeenat nahi bante
woh Chup chap se Dil main Utar Jaya keRte hain

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai

Ke Zindagi Teri Zulfo Ke Narm Chao Mein Guzarne Pati
To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi

Ye Ranj-O-Ghum Ki Syaahi Jo Dil Pe Chai Hai
Tere Nazar Ki Shuwao.N Mein Kho Bhi Sakti Thi

Magar Ye Ho Na Saka
Magar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam Hai

K Tu Nahi Tera Ghum Teri Justaju Bhi Nahi
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise

Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarzu Bhi Nahi
Na Koi Raah Na Manzil Na Roshni Ka Suraagh

Bhatak Rahi Hai Andhero Mein Zindagi Meri
Inhi Andheron Mein Reh Jaunga Kabhi Kho Kar

Main Jaanta Hu Meri Ham Nafas Magar Yuhi
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai

Teri Surat Ko Nigahon Main Basa K Rakhon,

Teri Surat Ko Nigahon Main Basa K Rakhon,
Dil Ye Karta Hai Tujhe Tujh Se Chura K Rakhon!
Tujhe Dekhon, Tujhe Chahon, Tujh Hi Se Pyar Karon,
Tere Rang Roop Ko Main Sab Se Chupa K Rakhon!
Kar Loon Qaid Apne Dil Main Tere Jeewan Ko,
Tujhe Main Ishq Ki Zanjeer Pehna K Rakhon!
Koi Bhi Jan Na Pae Teri Aankhon Ki Gehrai,
Main Tujhe Aisi Kanwal Jheel Bana K Rakhon!
Dil Ye Kehta Hai Tere Ba’ad Koi Tujh Sa Na Ho,
Main Tujhe Aakhri Tehreer Bana K Rakhon…

Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay

Kal raat tanha tha main,dehaan mein tum thay
Tehreer mein tum thay,meray wajdaan mein tum thay

Ahat thi k betaab kiye deti thi mujh ko

Ehsaas yeh kehta tha k dalaan mein tum thay

Go ajnabi dastak thi magar main ne dar-e-jaah

Yeh soch k khola tha k imkaan mein tum thay

Main kia, sitaron ne bhi aankh na jhapki thi

kal shab shab-e-mehtaab thi aur dalaan mein tum thay

Kia dekhtay auron ki taraf hum se giraftaar

Har ehad mein tum thay / har paimaan mein tum thay

Har chashm-e-gul-e-tarr thi tehreer zada

Kia waqt-e-sehar mun-e-gulistan mein tum thay.

Thursday 1 September 2011

Mujhe Phir Lout Jana Hai

Mujhe Phir Lout Jana Hai
Achanak Toot Jana Hai
K Mere Dais Se Agay Koi Pardais Mera Muntazir Hai
Aur Mere Doston Ne Mere Hathon Main Safar Ka Taar Bhi Pakra Diya Hai...

Guzihsta Kal Ki Sab Baatein Bhulaye Ja Raha Hoon
Par Woh Baatein jo Tere Hasaas Chehry Par Numaya Thi
Woh Sary Lafz Yoon Ashkon Ki Soorat Aankh Main Utry Hain
Tere Khamoosh Pekar Main Chupy Gham Naak Afsany
Teri Guftar Ki Rimjhim..
Teri Raftar K Mosam..
Tere Kirdaar Ka Mottii..
Tere Dil Se Ubalty Khoo'n K Beawaz Se Naghmy
Tere Chehry K Khaal-0-Khad
Nigahoo'n Main Chupy Darya..
Tere Ehsaas Ki Shiddat
Tere Jazbat Ki Hiddat..
Main Sab Kch Yaad Rakhoonga...
Teri Khamoosh Awazein,,Mere Maazi Ka Hasil Ban K Utreingi
Mujhe Ab Lout Jany De
Achanak Toot Jany De...

Hurf Hurf Sater Sater Baab Baab Likha Dia

Hurf Hurf Sater Sater Baab Baab Likha Dia
Us Kay Naam Zindegi Ka Intesaab Likh Dia

Pochta Tha Mujh Se Wo Hasool-e-Zindegi Hai Kia
Ashk Ankh Se Giray, Zamee'n Pay Khawaab Likh Dia

Us Ki Misaal Di Tu Samnay Ki Baat Ki
Chaand Likh Dia Kabhi, Kabhi Gulaab Likh Dia

Jis Qadder Wo Hai Usay Bayaa'n Kia Usi Qadder
Kab Howa Kay Mai Ne Us Ko Lajawaab Likh Dia

Gushwara-e-Ghum-e-Hayaat Likh Raha Tha Jub
Dil Pay Hath Rakh Kay Mai Ne Be-Hisaab Likh Dia

Hijratoon Kay Baad Bhi Hai Hijratoon Ka Silsila
Kis Ne Meray Bakht Mai Yeh Inqelaab Likh Dia

Yion Karam Kia Mujh Pay Rab-e-Kainaat Ne
Sochnay Se Qabbal Mujh Ko Kaamyaab Likh Dia

Ik baar jo milta hai dubara nahi milta

Ik baar jo milta hai dubara nahi milta
Itni bari dunya main koi hamara nahi milta

Kis ko banayen apni zindagi ka hamsafar
Hum ko kahin se ishara nahi milta

Har rooz naye naye loog milte hain
Magar koi bhi jaan se piyara nahi milta

Gham k bhanwar main aise phasi hai naao
Pareshan hai is kadar k kinara nahi milta

Muddat k baad tere gali main aaye hain
Ab kis se pochen k tumhara ghar nahi milta

Meri Khamosh muhabbat ko koi NAAM dia hota

Meri Khamosh muhabbat ko koi NAAM dia hota,
Main mar Q na gaya teri Narazagi sy pehly,
Mujhy chorna tha to koi Laqb-E-Budnaam dya hota,
Main Umar bhar k liye nahi kehta k mera 7 dedo,
Bs jine ko koi dilasa kisi Sham diya hota,
Tumhain pane ki talab mei kitna roya dil e Muztar…,
Rat bhar jagny ki ibadat ka koi INA’AM diya hota

Wo deta hai Dard bas hum hi ko…

Wo deta hai Dard bas hum hi ko…

Kya samjhay ga wo in aankhon ki nami ko…

Laakhon diost hon jin k MOHSIN…..

Wo kya mehsoos kare ga humari kami ko

Usay kehna

Usay kehna
Abhi tak dil dharakhta hai
Abhi tak saans chaltii hai
Abhi tak meri ye ankhain
Soohanay khawab bunti hain
Meray hontoon ki junbish main
Tumhara naam rehta hia
Abhi barish ki bondoon main
Tumhara piyar baqi hai
Usay ye bhi bata daina
Abhi izhaar baqi hia
Abhi yaadon k kantoon say
Mera daman ulajhta hai
Tumhara piyar seen…ay main
Kahin ab bhi dharakhta hai
Hawa ab bhi mawaqif hia
Humaray saath chaltii hia
Usay kehna…!!
Judai ka abhi mousam nahi aaya
Mohab’bat ki kahani main
Kahin par ghum nhai aaya
Magar sub kuch badalnay main
Bhala kai dair lagti hai
Naya sooraj nikalnay main
Bhala kai dair lagtii hai
Usay kehna!!
Woh jaldii faisla kar lay
Naiee rastoon pay chalnay main
Bhala kia dair lagtii hai

دریا کو مجھ سے کچھ اِس لیے بھی محبت ہے بہت واجد

دریا کو مجھ سے کچھ اِس لیے بھی محبت ہے بہت واجد
کہ کنارے تلاش کرنا میری عادت نہیں ہے

خوشبوؤں‌ کی بارش تھی، چاندنی کا پہرہ تھا

خوشبوؤں‌ کی بارش تھی، چاندنی کا پہرہ تھا
میں بھی اُس شبستاں‌ میں ایک رات ٹھہرا تھا

تو مری مسیحائی جان! کس طرح‌کرتا
تیری جھیل آنکھوں‌سے میرا زخم گہرا تھا

میں‌ نے اس زمانے میں‌ تیرے گیت گائے ہیں
تیرا نام لینا بھی جب گناہ ٹھہرا تھا

اس گھڑی نبھایا تھا اس نے وصل کا وعدہ
جب تمام رستوں‌ پر چاندنی کا پہرہ تھا

رنگ یاد ہے اس کا شام کے دھندلکے میں
آنسوؤں‌ سے‌ تر چہرہ کس قدر سنہرا تھا