Wednesday 6 July 2011

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe
k sang tujhpe gire aur zakhm aye mujhe
wo maharaban hai to iqrar kyun nahin karta
wo badguman hai to sau bar azmaye mujhe
main apne paon tale raundata hun saye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe
main ghar se teri tamanna pahan k jab niklun
barhana shahar mein koi nazar na aye mujhe
wo mera dost hai sare jahan ko hai malum
daga kare wo kisi se to sharm aye mujhe
main apni zat mein nilam ho raha hun ‘Qateel’
gam-e-hayat se kah do kharid laye mujhe

No comments:

Post a Comment